Har dhadkan ko talaash teri Download

Har dhadkan ko talaash teri

Noor- e- Khuda,

Ooooo .. oooo … Noor -e- Khuda

Ajnabee mod hai

Khauff har oar hai

Har nazar pe dhuaan chha gaya

Pal bhar mein jaane kya kho gaya

Aasmaan zard hai

Aahen bhi sard hain

Tan se saaya juda ho gaya

Pal bhar mein jaane kya kho gaya

Saans ruk si gayi,

Jism chhil sa gaya

Toote khwaabon ke manzar

pe tera jahaan chal diya

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Tu kahan chhupa hai hume yeh bata

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Yun na humse nazarein phira

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Tu kahan chhupa hai hume yeh bata

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Yun na humse nazarein

phira, Noor-e- Khuda

Nazar-e-karam farma hi de

Din-o-dharam ko jaga hi de

Jalti hui tanhahiyan

Roothi hui parchchaiyan

Kaisi udi yeh hawa

Chhaya yeh kaisa samaan

Rooh jam see gayee,

waqt tham saa gaya

Toote khwabon ke manzar

pe tera jahaan chal diya

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Tu kahan chhupa hai hume yeh bata

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Yun na humse nazarein

phira, Noor e Khuda

Ujde se lamhon ko aas teri

Zakhmi dilon ko hai pyaas teri

Har dhadkan ko talaash teri

Tera milta nahin hai pata

Khaali aankhen khud se sawal kare

Aman ki cheekh behaal kare

Behta lahu faryaad kare

Tera mitta chala hai nishaan

Rooh jam see gayee,

waqt tham saa gaya

Toote khwabon ke manzar

pe tera jahaan chal diya

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Tu kahan chhupa hai hume yeh bata

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Yun na humse nazarein

phira, Noor e Khuda

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Aaj kal tu kahan hai, ye bataa

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Aaj kal tu kahan hai, ye bataa

Noor- e – khuda, Noor – e – khuda

Kya ye saach hai ki tu hai hum se khafaa

Noor-e Khuda

1 thought on “Har dhadkan ko talaash teri Download”

Leave a Comment