Site icon Lyricsweb

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo

kali-kali-zulfon-ke-phande-nah-dalo

Kali Kali Zulfon Ke Ghazl was both sung & music by Nusrat Fateh Ali Khan with her Qawwal team. Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo Lyrics was written by Nusrat Fateh Ali Khan sir.

Kali Kali Zulfon Ke Song Credits:-
Song Title: Kali Kali Zulfon Ke
Singer: Nusrat Fateh Ali Khan
Music: Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics: Nusrat Fateh Ali Khan
Languae: Hindi

Kali Kali Zulfon Ke Lyrics

Kali kali zulfo ke
Phande na dalo
Hamein zinda rehne do
Ae husn walon

Aap iss tarah to
Hosh uthaaya na kijiye
Yu ban savar ke
Saamne aaya na kijiye

Kali kali zulfo ke
Phande na dalo
Hamein zinda rehne do
Ae husn walon

Na chedo hamein
Ham sataye hue hain
Boht zakham seenay pe
Khae huae hain

Sitmagar ho tum
khoob pehchaante hain
Tumhari aadaaon ko
Hum jaante hain

Daghabaaz ho tum
Sitam dhaanay walay
Faraibe mohabbat main
Uljhaane wale

Ye rangi kahani tumhi ko mubarak
Tumhari jawani tumhi ko mubarik

Hamari taraf se
Nigaahein hata lo
Hamein zinda rehne do
Ae husn walon

Kali kali zulfo ke
Phande na dalo
Hamein zinda rehne do
Ae husn walon

Mast ankhon Ki baat chalti hai
Mehkashi karwatay badallti hai
Ban sanwar kar wo
Jab nikalte hain
Dil kashi sath sath chalti hai

Haar jate hain jeetney wale
Wo nazar aisi chaal chalti hai
Jab hatate hain rukh se zulfon ko
Chaand hasta hai raat dhalti hai

Bada kash jaam tor dete hain
Jab nazar se sharaab dhalti hai
Kya qayamat hai unki angrai
Kich ke goya kamaan chalti hai
Yun haseeno ki zulf lehraye
Jese nagan koi machalti hai

Kali kali zulfo ke
Phande na dalo
Hamein zinda rehne do
Ae husn walon

Sambhalo zara apna
Aanchal gulaabi
Dikhao na has has ke
Aankhe sharaabi
Suluk inka duniya mein
Achha nahi hai
Haseeno pe humko
Bharosa nahi hai

Uthte hai najre to girti hai bijli
Aada jo bhi nikli
Qayaamat hi nikali
Jaha tumne chehre se
Aanchal hataaya
Vahi ehale dil ko
Tamaasha banaaya

Khud ke liye hum pe
Dore na daalo
HUmen jinda rahane do
Ae husn vaalo

Kali kali zulfo ke
Phande na dalo
Hamein zinda rehne do
Ae husn walon

Sadaa waar karte ho
Tere affa ka
Bahate ho khoon tum
Pehle wafa ka
Yeh nagan si zulfain
Yeh zehrili nazrain
Wo pani na mange
Yeh jis ko bhi das lain
Wo lut jaye jo tum se
Dil ko laga le

Phir hasraton ka janaja uthae
Hai maloom humako
Tumhare hakikat
Mohabbat ke parde mein
Karate ho nafrat
Kanhi aur jaake adae ujhaalo
Hume jinda rahane do
Ae husn vaalo

kaali kaali julphon ke
Phande na daalo
Hamen jinda rehane do
Ae husn vaalo

Deewana mera dil hai
Deewane ko kya kahiye
Zanjeer mein julphon ke
Phas jaane ko kya kahyie

Kaali kaali julphon ke
Phande na daalo
Hamein jinda rahane do
Ae husn vaalo

Ye jhoti numaish ye jhoti banavat
Pharebe nazar hai
Nazar ke lagaavat
Ye sundal se kesoo
Ye areesh gulaabi
Zamaane mein laayenge
Ek din kharaabee
Fana humko karde na
Ye muskuraana
Ada kaaphiraana chalana jalimana

Dikhao na ye ishavao naaz humko
Sikhao na ulphat ke andaj humko
Kisi aur par zulf ka jaal daalo
Hamein jinda rehane do
Ae husn vaalo

Kaali kaali julphon ke
Phande na daalo
Hamein jinda rehane do
Ae husn vaalo

Kali Kali Zulfon Ke Video Song

Exit mobile version